tere chehre ko be-naqab karen
tere chehre ko be-naqāb kareñ
zindagī chal tirā hisāb kareñ
ham pe kaisī hai ye sanak haavī
jo banāyā hai vo ḳharāb kareñ
is se ham baa'd meñ kareñge vuzū
pahle is aab ko sharāb kareñ
sab kā apnā maqām hotā hai
kyoñ charāġhoñ ko āftāb kareñ
ham kahāñ haiñ hameñ nahīñ mālūm
kis tarah ḳhud ko dastiyāb kareñ
koī shikva na dil meñ rah jaa.e
aao baiTho chalo hisāb kareñ
kho chuke haiñ ka.ī varaq apne
ḳhud ko ham kis tarah kitāb kareñ
tere chehre ko be-naqab karen
zindagi chal tera hisab karen
hum pe kaisi hai ye sanak hawi
jo banaya hai wo KHarab karen
is se hum ba'd mein karenge wuzu
pahle is aab ko sharab karen
sab ka apna maqam hota hai
kyon charaghon ko aaftab karen
hum kahan hain hamein nahin malum
kis tarah KHud ko dastiyab karen
koi shikwa na dil mein rah jae
aao baiTho chalo hisab karen
kho chuke hain kai waraq apne
KHud ko hum kis tarah kitab karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.