tere dar par hun khaDa jazba-e-izhaar ke sath
tere dar par huuñ khaḌā jazba-e-iz.hār ke saath
aa mujhe toḌ de phir lahja-e-inkār ke saath
us ke dil meñ koī kiina hai abhī bhī baaqī
phuul us ne mujhe bhejā hai magar ḳhaar ke saath
rāz-e-pinhāñ na TaTolo kisī hamsā.e kā
kaan apne na lagāo kisī dīvār ke saath
apnī izzat sar-e-bāzār na laao varna
bik ke rah jā.eñgī ik roz ye bāzār ke saath
zindagānī tirī ik khel na ban jaa.e kahīñ
apne dil ko na lagā tū kisī fankār ke saath
tere dar par hun khaDa jazba-e-izhaar ke sath
aa mujhe toD de phir lahja-e-inkar ke sath
us ke dil mein koi kina hai abhi bhi baqi
phul us ne mujhe bheja hai magar KHar ke sath
raaz-e-pinhan na TaTolo kisi hamsae ka
kan apne na lagao kisi diwar ke sath
apni izzat sar-e-bazar na lao warna
bik ke rah jaengi ek roz ye bazar ke sath
zindagani teri ek khel na ban jae kahin
apne dil ko na laga tu kisi fankar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.