tere dar se main uTha lekin na mera dil uTha
tere dar se main uTha lekin na mera dil uTha
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
tere dar se maiñ uThā lekin na merā dil uThā
chhoḌ kar ho jis tarah kaasa koī saa.il uThā
qais kyā jaane ki merā dekhnā manzūr thā
ḳhud-baḳhud ho jab havā se parda-e-mahmil uThā
girye ne pahle hī apnā kar rakhā thā bandobast
maiñ uThā bhī vaañ se chalne ko to pā-dar-gil uThā
bosa-e-āriz mujhe dete hue Dartā hai kyuuñ
luñgā kyā nok-e-zabāñ se tirī ruḳh kā til uThā
jab uThā ḳhanjar na us se is adā par mar ga.e
ham se bhī goyā na bār-e-minnat-e-qātil uThā
shikva-e-bār-e-ġham-e-hijrāñ hai ḳhat meñ mundaraj
nāma-bar kab ho ke mere naamī kā haa.il uThā
ġhair ne aa kar nahīñ kī gudgudī gar ḳhvāb meñ
niiñd se kyuuñ is tarah hañstā huā khil-khil uThā
garche rakhtā huuñ kahīñ aur paañv paḌtā hai kahīñ
par ġhanīmat hai ki hai muñh jānib-e-manzil uThā
ashk go ātish nahīñ 'nāzim' magar tezāb hai
dekh chashm-e-tar se apnī āstīñ ġhāfil uThā
tere dar se main uTha lekin na mera dil uTha
chhoD kar ho jis tarah kasa koi sail uTha
qais kya jaane ki mera dekhna manzur tha
KHud-baKHud ho jab hawa se parda-e-mahmil uTha
girye ne pahle hi apna kar rakha tha bandobast
main uTha bhi wan se chalne ko to pa-dar-gil uTha
bosa-e-ariz mujhe dete hue Darta hai kyun
lunga kya nok-e-zaban se teri ruKH ka til uTha
jab uTha KHanjar na us se is ada par mar gae
hum se bhi goya na bar-e-minnat-e-qatil uTha
shikwa-e-bar-e-gham-e-hijran hai KHat mein mundaraj
nama-bar kab ho ke mere nami ka hail uTha
ghair ne aa kar nahin ki gudgudi gar KHwab mein
nind se kyun is tarah hansta hua khil-khil uTha
garche rakhta hun kahin aur panw paDta hai kahin
par ghanimat hai ki hai munh jaanib-e-manzil uTha
ashk go aatish nahin 'nazim' magar tezab hai
dekh chashm-e-tar se apni aastin ghafil uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.