Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere ehsanon ka haq pura ada karte hain

Naved Anjum

tere ehsanon ka haq pura ada karte hain

Naved Anjum

MORE BYNaved Anjum

    tere ehsānoñ haq puurā adā karte haiñ

    bharne lagte haiñ to zaḳhmoñ ko harā karte haiñ

    niiñd ko ham kabhī zaa.e.a nahīñ hone dete

    le ke bistar se hasīñ ḳhvāb uThā karte haiñ

    ishq meñ haar ke mar jaanā koī ishq nahīñ

    dam-e-āḳhir bhī to bīmār davā karte haiñ

    jashn-e-shāhī meñ ġharīboñ ko bhī dāvat denā

    chāñd ke saath sitāre bhī ziyā karte haiñ

    bas yahī āḳhirī laġhzish hai hamārī 'anjum'

    sab yahī soch ke har baar ḳhatā karte haiñ

    tere ehsanon ka haq pura ada karte hain

    bharne lagte hain to zaKHmon ko hara karte hain

    nind ko hum kabhi zaea nahin hone dete

    le ke bistar se hasin KHwab uTha karte hain

    ishq mein haar ke mar jaana koi ishq nahin

    dam-e-aKHir bhi to bimar dawa karte hain

    jashn-e-shahi mein gharibon ko bhi dawat dena

    chand ke sath sitare bhi ziya karte hain

    bas yahi aaKHiri laghzish hai hamari 'anjum'

    sab yahi soch ke har bar KHata karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now