tere ehsas ko KHushbu banate
tere ehsās ko ḳhushbū banāte
jo bas chaltā tujhe urdu banāte
yaqīnan is se to behtar hī hotī
vo ik duniyā jo maiñ aur tū banāte
miTāne kī kabhī naubat na aatī
jo mere naam kā tattō banāte
vo jis meñ saarī duniyā Duub jaa.e
terī furqat meñ vo aañsū banāte
ilāhī tā-qayāmat nāchnā thā
so merī ḳhaak se ghuñghrū banāte
kisī din tīrgī ke canvas par
tumhārī shab ke jugnū banāte
tere ehsas ko KHushbu banate
jo bas chalta tujhe urdu banate
yaqinan is se to behtar hi hoti
wo ek duniya jo main aur tu banate
miTane ki kabhi naubat na aati
jo mere nam ka tattoo banate
wo jis mein sari duniya Dub jae
teri furqat mein wo aansu banate
ilahi ta-qayamat nachna tha
so meri KHak se ghunghru banate
kisi din tirgi ke canwas par
tumhaari shab ke jugnu banate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.