tere gulzar ki KHushbu se saja rahta hai
tere gulzār kī ḳhushbū se sajā rahtā hai
mere darbār kā jo dar hai khulā rahtā hai
har qadam saath rahā kartī haiñ yādeñ terī
dhyān terā hī dar-e-dil pe dharā rahtā hai
vasvase yuuñ to Darāte haiñ añdheroñ se magar
merī rāhoñ meñ bhī ik diip jalā rahtā hai
phir muḳhālif ko maiñ dildār banā.ūñ kaise
ab ināyāt kā andāz judā rahtā hai
ik gharānā jo hai pahchān mire hone kī
un rivāyāt kā ehsās sadā rahtā hai
tere gulzar ki KHushbu se saja rahta hai
mere darbar ka jo dar hai khula rahta hai
har qadam sath raha karti hain yaaden teri
dhyan tera hi dar-e-dil pe dhara rahta hai
waswase yun to Daraate hain andheron se magar
meri rahon mein bhi ek dip jala rahta hai
phir muKHalif ko main dildar banaun kaise
ab inayat ka andaz juda rahta hai
ek gharana jo hai pahchan mere hone ki
un riwayat ka ehsas sada rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.