tere hathon jo sar-afraaz hue
tere hāthoñ jo sar-afrāz hue
ham se kis baat meñ mumtāz hue
kyā vo dastak se na khul sakte the
ham pe Thokar se jo dar baaz hue
shaam tak un kā nishāñ bhī na rahā
sub.h jo mahv-e-tag-o-tāz hue
kyā baneñge vo kisī ke hamrāz!
ḳhud jo apne liye ik raaz hue
kyā tamasḳhur hai ki 'rāshid' ham bhī
kuchh na hone se suḳhan-sāz hue
tere hathon jo sar-afraaz hue
hum se kis baat mein mumtaz hue
kya wo dastak se na khul sakte the
hum pe Thokar se jo dar baz hue
sham tak un ka nishan bhi na raha
subh jo mahw-e-tag-o-taz hue
kya banenge wo kisi ke hamraaz!
KHud jo apne liye ek raaz hue
kya tamasKHur hai ki 'rashid' hum bhi
kuchh na hone se suKHan-saz hue
- Book : Monthly Usloob (Pg. 387)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.