tere hisse ke bhi sadmat uTha leta hun
tere hisse ke bhī sadmāt uThā letā huuñ
aa tujhe ā.ankhoñ pe ai raat uThā letā huuñ
aam sā shaḳhs bachegā tū agar maiñ tere
ḳhāl-o-ḳhad se ye tilismāt uThā letā huuñ
tū ne ai ishq ye sochā ki tirā kyā hogā
tere sar se maiñ agar haath uThā letā huuñ
ye agar jañg-e-mohabbat hai mire yaar to phir
aisā kartā huuñ ki maiñ maat uThā letā huuñ
us ke lahje meñ darāḌ aatī hai aur maiñ usī vaqt
ḳhvāb rakh detā huuñ ḳhadshāt uThā letā huuñ
tere hisse ke bhi sadmat uTha leta hun
aa tujhe aaankhon pe ai raat uTha leta hun
aam sa shaKHs bachega tu agar main tere
KHal-o-KHad se ye tilismat uTha leta hun
tu ne ai ishq ye socha ki tera kya hoga
tere sar se main agar hath uTha leta hun
ye agar jang-e-mohabbat hai mere yar to phir
aisa karta hun ki main mat uTha leta hun
us ke lahje mein daraD aati hai aur main usi waqt
KHwab rakh deta hun KHadshat uTha leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.