tere hone se bhi ab kuchh nahin hone wala
tere hone se bhī ab kuchh nahīñ hone vaalā
mujh meñ baaqī hī nahīñ hai koī rone vaalā
us se miltā huuñ to lagtā hai ki mere andar
niiñd se jaag gayā hai koī sone vaalā
mujh ko is khel ke ādāb sabhī haiñ ma.alūm
maiñ to is khel meñ shāmil nahīñ hone vaalā
tere hone se bhi ab kuchh nahin hone wala
mujh mein baqi hi nahin hai koi rone wala
us se milta hun to lagta hai ki mere andar
nind se jag gaya hai koi sone wala
mujh ko is khel ke aadab sabhi hain malum
main to is khel mein shamil nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.