tere jaane ke baad kaisa hai
tere jaane ke ba.ad kaisā hai
dil meñ itnā fasād kaisā hai
aa.iye dekhiye hamārā dil
TuuT jaane ke baad kaisā hai
ishq meñ choT ham ne khaa.ī hai
ham se pūchho ki svaad kaisā hai
pūchhiye to javāb bhī dūñgī
dekhnā e'timād kaisā hai
dost bante chale ga.e mere
phir ye jaanā nihād kaisā hai
tere jaane ke baad kaisa hai
dil mein itna fasad kaisa hai
aaiye dekhiye hamara dil
TuT jaane ke baad kaisa hai
ishq mein choT hum ne khai hai
hum se puchho ki swad kaisa hai
puchhiye to jawab bhi dungi
dekhna e'timad kaisa hai
dost bante chale gae mere
phir ye jaana nihad kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.