tere jaane se mera aur to kya hona hai
tere jaane se merā aur to kyā honā hai
peḌ se TuuTā huā barg fanā honā hai
jab talak hai ye safar muskurā ke saath chalo
manzileñ aate hī donoñ ko judā honā hai
yād-e-māzī kī razā.ī ko rakho saath apne
shab december kī hai rātoñ ko baḌā honā hai
phuul to gir ke zamīñ-doz ho jā.eñge par
ḳhushbuoñ ko to abhī bād-e-sabā honā hai
tere jaane se mera aur to kya hona hai
peD se TuTa hua barg fana hona hai
jab talak hai ye safar muskura ke sath chalo
manzilen aate hi donon ko juda hona hai
yaad-e-mazi ki razai ko rakho sath apne
shab december ki hai raaton ko baDa hona hai
phul to gir ke zamin-doz ho jaenge par
KHushbuon ko to abhi baad-e-saba hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.