tere jaisā kamāl kar letā
maiñ bhī ranjish bahāl kar letā
rasm-e-ulfat kā paas hai varna
ġhair ḳhud pe halāl kar letā
tū dhaḌaktā agar na siine meñ
saañs dhaḌkan ko Taal kar letā
ahl-e-duniyā to ahl-e-duniyā haiñ
tū to merā ḳhayāl kar letā
phuul se dostī nibhānī thī
kam se kam aañkh laal kar letā
tere jaisa kamal kar leta
main bhi ranjish bahaal kar leta
rasm-e-ulfat ka pas hai warna
ghair KHud pe halal kar leta
tu dhaDakta agar na sine mein
sans dhaDkan ko Tal kar leta
ahl-e-duniya to ahl-e-duniya hain
tu to mera KHayal kar leta
phul se dosti nibhani thi
kam se kam aankh lal kar leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.