tere jalwon ki chah ne mara
tere jalvoñ kī chaah ne maarā
barq-e-zer-e-nigāh ne maarā
dostoñ ke karam bhī bhuul ga.e
ġhair kī rasm-o-rāh ne maarā
naala naala ne jaan lī merī
haañ mujhe aah aah ne maarā
qaidī-e-dām-e-sub.h-o-shām haiñ ham
is saped-o-siyāh ne maarā
ai ḳhushā-baḳht aarzū bar aa.ī
nāvak ik ḳhair-ḳhvāh ne maarā
sitam-e-mustaqil se ḳhauf na thā
karam-e-gāh-gāh ne maarā
bach ke rahnā muhāl thā 'fitrat'
dost kī har nigāh ne maarā
tere jalwon ki chah ne mara
barq-e-zer-e-nigah ne mara
doston ke karam bhi bhul gae
ghair ki rasm-o-rah ne mara
nala nala ne jaan li meri
han mujhe aah aah ne mara
qaidi-e-dam-e-subh-o-sham hain hum
is saped-o-siyah ne mara
ai KHusha-baKHt aarzu bar aai
nawak ek KHair-KHwah ne mara
sitam-e-mustaqil se KHauf na tha
karam-e-gah-gah ne mara
bach ke rahna muhaal tha 'fitrat'
dost ki har nigah ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.