tere kahne pe hī rukūñgā maiñ
varna phir apnī raah lūñgā maiñ
dekhne meñ to Thīk-Thāk hai sab
baaqī chakh kar hī kuchh kahūñgā maiñ
jo kisī ne nahīñ kiyā ab tak
kaam aisā koī karūñgā maiñ
chhoḌ kar aisā jā.ūñgā ki tumheñ
ḳhvāb meñ bhī nahīñ milūñgā maiñ
kisī ko kuchh pata nahīñ chalnā
vaise kā vaisā hī dikhūñgā maiñ
nazar aa.e tamām zāviyoñ se
us ko aisī jagah rakhūñgā maiñ
aadmī huuñ alag hī Type kā
dūsroñ se judā lagūñgā maiñ
hissa ban jā.ūñgā usī kā ek
itnī mazbūtī se juḌūñgā maiñ
tere kahne pe hi rukunga main
warna phir apni rah lunga main
dekhne mein to Thik-Thak hai sab
baqi chakh kar hi kuchh kahunga main
jo kisi ne nahin kiya ab tak
kaam aisa koi karunga main
chhoD kar aisa jaunga ki tumhein
KHwab mein bhi nahin milunga main
kisi ko kuchh pata nahin chalna
waise ka waisa hi dikhunga main
nazar aae tamam zawiyon se
us ko aisi jagah rakhunga main
aadmi hun alag hi Type ka
dusron se juda lagunga main
hissa ban jaunga usi ka ek
itni mazbuti se juDunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.