tere KHat ka jawab likkha hai
tere ḳhat kā javāb likkhā hai
be-adab ko janāb likkhā hai
mere maulā tire ḳhazāne meñ
kuchh to apnā hisāb likkhā hai
be-amal ho gayā huuñ maiñ shāyad
ab musalsal 'azāb likkhā hai
ik samundar ke sard siine par
mauj ne iztirāb likkhā hai
lī hai duniyā se dushmanī ham ne
aap ko lā-javāb likkhā hai
zindagī dī hisāb se us ne
aur ġham be-hisāb likkhā hai
niiñd rūThī hai is liye 'e'jāz'
ḳhvāb ko ham ne ḳhvāb likkhā hai
tere KHat ka jawab likkha hai
be-adab ko janab likkha hai
mere maula tere KHazane mein
kuchh to apna hisab likkha hai
be-amal ho gaya hun main shayad
ab musalsal 'azab likkha hai
ek samundar ke sard sine par
mauj ne iztirab likkha hai
li hai duniya se dushmani hum ne
aap ko la-jawab likkha hai
zindagi di hisab se us ne
aur gham be-hisab likkha hai
nind ruThi hai is liye 'e'jaz'
KHwab ko hum ne KHwab likkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.