tere khone ka kis qadar gham hai
tere khone kā kis qadar ġham hai
aaj aalam tamām mub.ham hai
dekhtā huuñ nazar nahīñ aatā
kaisā nairañg chashm-e-pur-nam hai
dard Thahrā huā sā hai dil meñ
sozish-e-ġham bhī aaj kam kam hai
kitnī vīrāniyāñ haiñ āñkhoñ meñ
kitnā pairoñ meñ raqs-e-paiham hai
dīda-o-dil bujhe se jaate haiñ
kaisī ġhamnāk shām-e-mātam hai
tum ne 'mas.ū' ko bhī dekhā hai
vo to afsurdagī mujassam hai
tere khone ka kis qadar gham hai
aaj aalam tamam mubham hai
dekhta hun nazar nahin aata
kaisa nairang chashm-e-pur-nam hai
dard Thahra hua sa hai dil mein
sozish-e-gham bhi aaj kam kam hai
kitni viraniyan hain aankhon mein
kitna pairon mein raqs-e-paiham hai
dida-o-dil bujhe se jate hain
kaisi ghamnak sham-e-matam hai
tum ne 'masu' ko bhi dekha hai
wo to afsurdagi mujassam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.