Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere mahal mein kaise basar ho isko to girai bahut hai

Sahir Hoshiyarpuri

tere mahal mein kaise basar ho isko to girai bahut hai

Sahir Hoshiyarpuri

MORE BYSahir Hoshiyarpuri

    tere mahal meñ kaise basar ho is to gīrā.ī bahut hai

    maiñ ghar añgnā.ī meñ ḳhush huuñ mere liye añgnā.ī bahut hai

    apnī apnī zaat meñ gum haiñ ahl-e-dil bhī ahl-e-nazar bhī

    mahfil meñ dil kyuuñ kar bahle mahfil meñ tanhā.ī bahut hai

    ġharq-e-dariyā honā yaaro 'ġhālib' ne kyuuñ chāhā āḳhir

    aisī marg-e-lā-vāris meñ socho to rusvā.ī bahut hai

    dushman se ghabrānā abas hai ġhair se Darnā bhī lā-hāsil

    kul ghātak ghar bhedī ek vibhīshan bhaa.ī bahut hai

    barsoñ meñ ik jogī lauTā jañgal meñ phir jot jagā.ī

    kahne lagā ai bhole shañkar shahroñ meñ mahñgā.ī bahut hai

    apnī dhartī ke dukh-sukh ham in sheroñ meñ kahte haiñ

    ham ko himāla se kyā matlab us to ūñchā.ī bahut hai

    pursish-e-ġham ko ḳhud nahīñ aa.e un magar paiġhām to aayā

    hijr rut meñ jān-e-hazīñ ko duur ye shahnā.ī bahut hai

    dil kitābeñ paḌh nahīñ saktā lekin chehre paḌh letā huuñ

    Dhaltī umr dhuup meñ 'sāhir' itnī bhī bīnā.ī bahut hai

    tere mahal mein kaise basar ho is ki to girai bahut hai

    main ghar ki angnai mein KHush hun mere liye angnai bahut hai

    apni apni zat mein gum hain ahl-e-dil bhi ahl-e-nazar bhi

    mahfil mein dil kyun kar bahle mahfil mein tanhai bahut hai

    gharq-e-dariya hona yaro 'ghaalib' ne kyun chaha aaKHir

    aisi marg-e-la-waris mein socho to ruswai bahut hai

    dushman se ghabrana abas hai ghair se Darna bhi la-hasil

    kul ka ghatak ghar ka bhedi ek wibhishan bhai bahut hai

    barson mein ek jogi lauTa jangal mein phir jot jagai

    kahne laga ai bhole shankar shahron mein mahngai bahut hai

    apni dharti hi ke dukh-sukh hum in sheron mein kahte hain

    hum ko himala se kya matlab us ki to unchai bahut hai

    pursish-e-gham ko KHud nahin aae un ka magar paigham to aaya

    hijr ki rut mein jaan-e-hazin ko dur ki ye shahnai bahut hai

    dil ki kitaben paDh nahin sakta lekin chehre paDh leta hun

    Dhalti umr ki dhup mein 'sahir' itni bhi binai bahut hai

    Source :
    • Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 33)
    • Author : Sahir Hoshiarpuri
    • Publication : Modern Publishing House (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now