tere milne ka aaKHiri imkan
tere milne kā āḳhirī imkān
jaise mujh meñ hai ek naḳhlistān
ghar meñ lagtā nahīñ hai jī merā
dasht meñ rah gayā mirā sāmān
ret meñ sīpiyāñ milī haiñ mujhe
kyā samundar thā pahle registān
lauTe shāyad isī bahāne vo
rakh liyā maiñ ne us kā kuchh sāmān
tū tire ird-gird hī hai kahīñ
har taraf DhūñDh har jagah ko chhān
duur tak koī bhī nahīñ dil meñ
āḳhirī shahr bhī milā vīrān
kis ne phūñkī hai jism meñ sāñseñ
kis ne chheḌī hai zindagī kī taan
ḳhaak ho jā.egā badan 'ātish'
hoñge ik din dhuāñ ye jism o jaan
tere milne ka aaKHiri imkan
jaise mujh mein hai ek naKHlistan
ghar mein lagta nahin hai ji mera
dasht mein rah gaya mera saman
ret mein sipiyan mili hain mujhe
kya samundar tha pahle registan
lauTe shayad isi bahane wo
rakh liya main ne us ka kuchh saman
tu tere ird-gird hi hai kahin
har taraf DhunDh har jagah ko chhan
dur tak koi bhi nahin dil mein
aaKHiri shahr bhi mila viran
kis ne phunki hai jism mein sansen
kis ne chheDi hai zindagi ki tan
KHak ho jaega badan 'atish'
honge ek din dhuan ye jism o jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.