tere ruKHsar se jab jab hai guzarte aansu
tere ruḳhsār se jab jab hai guzarte aañsū
jism-o-jāñ meñ mere jaise hai utarte aañsū
zindagānī ke ka.ī rañg dikhāte haiñ ye
kyā kahūñ kyā haiñ ye palkoñ pe Thaharte aañsū
jab bhī rātoñ ko tirī yaad kabhī aatī hai
sard aahoñ se haiñ āñkhoñ ko ye bharte aañsū
shabnamī sub.h meñ māhaul ko mahkāte haiñ
ġhuncha-o-gul kī tarah haiñ ye nikharte aañsū
tere ruKHsar se jab jab hai guzarte aansu
jism-o-jaan mein mere jaise hai utarte aansu
zindagani ke kai rang dikhate hain ye
kya kahun kya hain ye palkon pe Thaharte aansu
jab bhi raaton ko teri yaad kabhi aati hai
sard aahon se hain aankhon ko ye bharte aansu
shabnami subh mein mahaul ko mahkate hain
ghuncha-o-gul ki tarah hain ye nikharte aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.