tere wade pe etibar kiya
tere va.ade pe e'tibār kiyā
muztarib dil ne baar baar kiyā
ham ne to is jahān-e-fānī meñ
ho sakā jitnā intizār kiyā
us ko aana hai aa.egā lekin
kab qazā ne ḳhayāl-e-yār kiyā
dāman-e-ishq vaqt ne āḳhir
dekh to kaisā taar taar kiyā
dil ke ḳhas-ḳhāne jab sulagne lage
ham ne āñkhoñ ko ābshār kiyā
terī majbūriyāñ rahī hoñgī
Thiik hai ham ne e'tibār kiyā
jal uThā tuur bujh ga.e dīpak
ham ne ḳhud ko 'farāz' daar kiyā
tere wade pe e'tibar kiya
muztarib dil ne bar bar kiya
hum ne to is jahan-e-fani mein
ho saka jitna intizar kiya
us ko aana hai aaega lekin
kab qaza ne KHayal-e-yar kiya
daman-e-ishq waqt ne aaKHir
dekh to kaisa tar tar kiya
dil ke KHas-KHane jab sulagne lage
hum ne aankhon ko aabshaar kiya
teri majburiyan rahi hongi
Thik hai hum ne e'tibar kiya
jal uTha tur bujh gae dipak
hum ne KHud ko 'faraaz' dar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.