tere ye jaan-nisar-o-talab-gar dekh kar
tere ye jāñ-nisār-o-talab-gār dekh kar
hairāñ huuñ ek anaar sau bīmār dekh kar
gul phuul aab aab hue kal chaman ke biich
gul ke hamāre ātishīñ ruḳhsār dekh kar
sidra sarv sanobar-o-tūbā khaḌe khaḌe
sar-gashta haiñ chaman meñ qad-e-yār dekh kar
pairoñ meñ dil-zadoñ ke na chubh jaa.eñ ustuḳhvāñ
is raah se guzar ho to sarkār dekh kar
hasrat gale se aur lagāne kī baḌh ga.ī
nāzuk se haath meñ tire talvār dekh kar
yā jism-o-jāñ meñ aah vo tāqat nahīñ rahī
yā Dar gayā huuñ vaqt kī raftār dekh kar
ifrīt-ḳhāna sā huā juz ghar tire parī
rahtā hai Dar sā ab dar-o-dīvār dekh kar
'hāvī' hamārī jaan meñ kuchh jaan aa ga.ī
maqtal meñ apne ḳhaas vafādār dekh kar
tere ye jaan-nisar-o-talab-gar dekh kar
hairan hun ek anar sau bimar dekh kar
gul phul aab aab hue kal chaman ke bich
gul ke hamare aatishin ruKHsar dekh kar
sidra sarw sanobar-o-tuba khaDe khaDe
sar-gashta hain chaman mein qad-e-yar dekh kar
pairon mein dil-zadon ke na chubh jaen ustuKHwan
is rah se guzar ho to sarkar dekh kar
hasrat gale se aur lagane ki baDh gai
nazuk se hath mein tere talwar dekh kar
ya jism-o-jaan mein aah wo taqat nahin rahi
ya Dar gaya hun waqt ki raftar dekh kar
ifrit-KHana sa hua juz ghar tere pari
rahta hai Dar sa ab dar-o-diwar dekh kar
'hawi' hamari jaan mein kuchh jaan aa gai
maqtal mein apne KHas wafadar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.