teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai
terī āñkhoñ kā ajab turfa samāñ dekhā hai
ek aalam tirī jānib nigrāñ dekhā hai
kitne anvār simaT aa.e haiñ in āñkhoñ meñ
ik tabassum tire hoñToñ pe ravāñ dekhā hai
ham ko āvāra o bekār samajhne vaalo
tum ne kab is but-e-kāfir ko javāñ dekhā hai
sehn-e-gulshan meñ ki anjum kī tarab-gāhoñ meñ
tum ko dekhā hai kahīñ jaane kahāñ dekhā hai
vahī āvāra o dīvāna o āshufta-mizāj
ham ne 'jālib' ko sar-e-kū-e-butāñ dekhā hai
teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai
ek aalam teri jaanib nigran dekha hai
kitne anwar simaT aae hain in aankhon mein
ek tabassum tere honTon pe rawan dekha hai
hum ko aawara o bekar samajhne walo
tum ne kab is but-e-kafir ko jawan dekha hai
sehn-e-gulshan mein ki anjum ki tarab-gahon mein
tum ko dekha hai kahin jaane kahan dekha hai
wahi aawara o diwana o aashufta-mizaj
hum ne 'jalib' ko sar-e-ku-e-butan dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.