teri aankhon ke do sitare the
terī āñkhoñ ke do sitāre the
jin pe ham do jahān haare the
saarī tārīf thī use zebā
jitne bohtān the hamāre the
jitnī āñkheñ thiiñ saarī merī thiiñ
jitne manzar the sab tumhāre the
din vahī umr bhar kā hāsil haiñ
jo tirī yaad meñ guzāre the
teri aankhon ke do sitare the
jin pe hum do jahan haare the
sari tarif thi use zeba
jitne bohtan the hamare the
jitni aankhen thin sari meri thin
jitne manzar the sab tumhaare the
din wahi umr bhar ka hasil hain
jo teri yaad mein guzare the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.