teri aankhon ki chamak bas aur ek pal hai abhi
terī āñkhoñ kī chamak bas aur ik pal hai abhī
dekh le is chāñd ko kuchh duur bādal hai abhī
aañkh to ḳhud ko na.e chehroñ meñ kho kar rah ga.ī
dil magar us shaḳhs ke jaane se bojhal hai abhī
ab talak chehre pe haiñ tūfāñ guzarne ke nishāñ
tah meñ patthar jā chukā paanī pe halchal hai abhī
tū to un kā bhī gila kartā hai jo tere na the
tū ne dekhā hī nahīñ kuchh bhī tū pāgal hai abhī
kar gayā sūraj mujhe tanhā kahāñ lā kar 'nasīm'
kyā karūñ maiñ rāste meñ shab kā jañgal hai abhī
teri aankhon ki chamak bas aur ek pal hai abhi
dekh le is chand ko kuchh dur baadal hai abhi
aankh to KHud ko nae chehron mein kho kar rah gai
dil magar us shaKHs ke jaane se bojhal hai abhi
ab talak chehre pe hain tufan guzarne ke nishan
tah mein patthar ja chuka pani pe halchal hai abhi
tu to un ka bhi gila karta hai jo tere na the
tu ne dekha hi nahin kuchh bhi tu pagal hai abhi
kar gaya suraj mujhe tanha kahan la kar 'nasim'
kya karun main raste mein shab ka jangal hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.