Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri aankhon mein jo nasha hai pazirai ka

Gopal Mittal

teri aankhon mein jo nasha hai pazirai ka

Gopal Mittal

MORE BYGopal Mittal

    terī āñkhoñ meñ jo nasha hai pazīrā.ī

    rañg bhar de na mirī ziist meñ rusvā.ī

    tujh ko afsūn-e-mohabbat zarūrat kyā thī

    sehr kuchh kam to nahīñ thā tirī ra.anā.ī

    dil to kyā chiiz hai jaañ us pe tasadduq kar duuñ

    ye agar arbada bhī ho kisī harjā.ī

    sochtā huuñ dil-e-betāb pe kyā guzregī

    sāmnā ho gayā gar phir shab-e-tanhā.ī

    kahīñ aisā na ho is lutf-o-mudārāt ke ba.ad

    imtihāñ ho mire pindār-e-shakebā.ī

    teri aankhon mein jo nasha hai pazirai ka

    rang bhar de na meri zist mein ruswai ka

    tujh ko afsun-e-mohabbat ki zarurat kya thi

    sehr kuchh kam to nahin tha teri ranai ka

    dil to kya chiz hai jaan us pe tasadduq kar dun

    ye agar arbada bhi ho kisi harjai ka

    sochta hun dil-e-betab pe kya guzregi

    samna ho gaya gar phir shab-e-tanhai ka

    kahin aisa na ho is lutf-o-mudaraat ke baad

    imtihan ho mere pindar-e-shakebai ka

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 183)
    • Author : Gopal Mittal
    • Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994)
    • Edition : 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now