teri aawaz-e-pa pe lagte kan
terī āvāz-e-pā pe lagte kaan
ḳhuub haiñ us sadā pe lagte kaan
soz-e-naġhma kā haz uThāte haiñ
mutriba kī navā pe lagte kaan
shahd kī hai miThās ab in meñ
ḳhuub terī sadā pe lagte kaan
merī fariyād-e-ġham ko kyā sunte
naġhma-e-be-navā pe lagte kaan
faiz-e-dīdār dekh le 'panchhī'
ab haiñ un kī sadā pe lagte kaan
teri aawaz-e-pa pe lagte kan
KHub hain us sada pe lagte kan
soz-e-naghma ka haz uThate hain
mutriba ki nawa pe lagte kan
shahd ki hai miThas ab in mein
KHub teri sada pe lagte kan
meri fariyaad-e-gham ko kya sunte
naghma-e-be-nawa pe lagte kan
faiz-e-didar dekh le 'panchhi'
ab hain un ki sada pe lagte kan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.