teri aawaz mein aawaz milane wala
terī āvāz meñ āvāz milāne vaalā
ab na aa.egā koī tujh ko manāne vaalā
bas usī din se añdherā hai mirī bastī meñ
jab se rūThā hai charāġhoñ ko jalāne vaalā
maañg ujḌegī yahāñ god bhī suunī hogī
shahr meñ aaya hai ik aag lagāne vaalā
sirf kāñToñ se ye guldasta sajā.e rakhiye
ab vo mausam hī nahīñ phuul khilāne vaalā
teri aawaz mein aawaz milane wala
ab na aaega koi tujh ko manane wala
bas usi din se andhera hai meri basti mein
jab se ruTha hai charaghon ko jalane wala
mang ujDegi yahan god bhi suni hogi
shahr mein aaya hai ek aag lagane wala
sirf kanTon se ye guldasta sajae rakhiye
ab wo mausam hi nahin phul khilane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.