teri be-iltifati kya koi kam hoti jati hai
terī be-iltifātī kyā koī kam hotī jaatī hai
tabī'at rafta rafta ḳhūgar-e-ġham hotī jaatī hai
hazāroñ chāra-gar haiñ aur ġham baḌhte hī jaate haiñ
jo sūrat dekhiye tasvīr-e-mātam hotī jaatī hai
tasallī aap ne dī farq hai haañ dil kī hālat meñ
jo tham tham kar ḳhalish hotī thī paiham hotī jaatī hai
jo chingārī thī pahle ab vo bijlī ban ga.ī baḌh kar
mohabbat 'umr Dhal jaane se kyā kam hotī jaatī hai
nazar kyā aap kī badlī mizāj-e-zindagī badlā
jo pahle jāñ-fazā thī mai vahī kam hotī jaatī hai
kisī kā ġham samo.e jaatā hai rag rag meñ rang aise
ki apnī zindagī husn-e-mujassam hotī jaatī hai
na ehsās-e-ġham-e-jānāñ na ehsās-e-ġham-e-daurāñ
to kyuuñ mānūs-e-girya chashm-e-pur-nam hotī jaatī hai
sab ulTī paḌ rahī haiñ shāyad āzādī kī tadbīreñ
ki zanjīr-e-mohabbat aur mohkam hotī jaatī hai
'jigar' kyā taab lā saktā hai koī dil meñ zaḳhmoñ kī
magar kuchh ġhaib se tadbīr-e-marham hotī jaatī hai
teri be-iltifati kya koi kam hoti jati hai
tabi'at rafta rafta KHugar-e-gham hoti jati hai
hazaron chaara-gar hain aur gham baDhte hi jate hain
jo surat dekhiye taswir-e-matam hoti jati hai
tasalli aap ne di farq hai han dil ki haalat mein
jo tham tham kar KHalish hoti thi paiham hoti jati hai
jo chingari thi pahle ab wo bijli ban gai baDh kar
mohabbat 'umr Dhal jaane se kya kam hoti jati hai
nazar kya aap ki badli mizaj-e-zindagi badla
jo pahle jaan-faza thi mai wahi kam hoti jati hai
kisi ka gham samoe jata hai rag rag mein rang aise
ki apni zindagi husn-e-mujassam hoti jati hai
na ehsas-e-gham-e-jaanan na ehsas-e-gham-e-dauran
to kyun manus-e-girya chashm-e-pur-nam hoti jati hai
sab ulTi paD rahi hain shayad aazadi ki tadbiren
ki zanjir-e-mohabbat aur mohkam hoti jati hai
'jigar' kya tab la sakta hai koi dil mein zaKHmon ki
magar kuchh ghaib se tadbir-e-marham hoti jati hai
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 169)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.