teri duniya ki kaj-adai se
terī duniyā kī kaj-adā.ī se
laḌ rahā huuñ bharī ḳhudā.ī se
husn hai aap apnī ārā.ish
husn ghaTtā hai ḳhud-numā.ī se
ham ne qadmoñ ko duur rakkhā hai
har badī se har ik burā.ī se
dil hī TuuTā hai kuchh nahīñ bigḌā
aap kī tarz-e-bevafā.ī se
bad-gumānī kā daur hai 'ābid'
bhaa.ī hai bad-gumān bhaa.ī se
teri duniya ki kaj-adai se
laD raha hun bhari KHudai se
husn hai aap apni aaraish
husn ghaTta hai KHud-numai se
hum ne qadmon ko dur rakkha hai
har badi se har ek burai se
dil hi TuTa hai kuchh nahin bigDa
aap ki tarz-e-bewafai se
bad-gumani ka daur hai 'abid'
bhai hai bad-guman bhai se
- Book : Aur Savira Na Hua (Pg. 87)
- Author : Abid Wadood
- Publication : Multi Media Affairs (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.