teri duniya se ye dil is liye ghabraata hai
terī duniyā se ye dil is liye ghabrātā hai
is sarā.e meñ koī aatā koī jaatā hai
tū ne kyā dil kī jagah rakkhā hai patthar mujh meñ
ġham se bhar jā.ūñ bhī to ronā nahīñ aatā hai
vo mire ishq kī gahrā.ī samajhtā hī nahīñ
rāsta duur talak jaa.e to bal khātā hai
phir bhalā kis ke liye itnī chamaktī hai ye ret
koī dariyā bhī nahīñ hai jo kahīñ jaatā hai
us ke hāthoñ meñ vo parkār hai jis se 'gauhar'
ghuum jaatī hai zamīñ āsmāñ chakrātā hai
teri duniya se ye dil is liye ghabraata hai
is sarae mein koi aata koi jata hai
tu ne kya dil ki jagah rakkha hai patthar mujh mein
gham se bhar jaun bhi to rona nahin aata hai
wo mere ishq ki gahrai samajhta hi nahin
rasta dur talak jae to bal khata hai
phir bhala kis ke liye itni chamakti hai ye ret
koi dariya bhi nahin hai jo kahin jata hai
us ke hathon mein wo parkar hai jis se 'gauhar'
ghum jati hai zamin aasman chakraata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.