teri gali ko chhoD ke pagal nahin gaya
terī galī ko chhoḌ ke pāgal nahīñ gayā
rassī to jal ga.ī hai magar bal nahīñ gayā
majnūñ kī tarah chhoḌā nahīñ maiñ ne shahr ko
ya.anī maiñ hijr kāTne jañgal nahīñ gayā
us ko nazar uThā ke zarā dekhne to de
phir kahnā merā jaadū agar chal nahīñ gayā
haa.e vo āñkheñ TaaT ko takte hī bujh ga.iiñ
haa.e vo dil ki jānib-e-maḳhmal nahīñ gayā
tere makāñ ke baad qadam hī nahīñ uThe
tere makāñ se aage maiñ paidal nahīñ gayā
teri gali ko chhoD ke pagal nahin gaya
rassi to jal gai hai magar bal nahin gaya
majnun ki tarah chhoDa nahin main ne shahr ko
yani main hijr kaTne jangal nahin gaya
us ko nazar uTha ke zara dekhne to de
phir kahna mera jadu agar chal nahin gaya
hae wo aankhen TaT ko takte hi bujh gain
hae wo dil ki jaanib-e-maKHmal nahin gaya
tere makan ke baad qadam hi nahin uThe
tere makan se aage main paidal nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.