teri gali mein main na chalun aur saba chale
terī galī meñ maiñ na chalūñ aur sabā chale
yuuñ hī ḳhudā jo chāhe to bande kī kyā chale
kis kī ye mauj-e-husn huī jalva-gar ki yuuñ
dariyā meñ jo habāb the āñkheñ chhupā chale
ham bhī jaras kī tarah to is qāfile ke saath
naale jo kuchh bisāt meñ the so sunā chale
kah baiThiyo na 'dard' ki ahl-e-vafā huuñ maiñ
us bevafā ke aage jo zikr-e-vafā chale
teri gali mein main na chalun aur saba chale
yun hi KHuda jo chahe to bande ki kya chale
kis ki ye mauj-e-husn hui jalwa-gar ki yun
dariya mein jo habab the aankhen chhupa chale
hum bhi jaras ki tarah to is qafile ke sath
nale jo kuchh bisat mein the so suna chale
kah baiThiyo na 'dard' ki ahl-e-wafa hun main
us bewafa ke aage jo zikr-e-wafa chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.