teri har ek baat pe dil ko yaqin raha
teri har ek baat pe dil ko yaqin raha
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
terī har ek baat pe dil ko yaqīñ rahā
tū aage baḌh gayā maiñ vahīñ kā vahīñ rahā
dil aisā chūr-chūr huā tere baad phir
na to makāñ rahā na hī koī makīñ rahā
vo ek zaḳhm jis ko bharā hai tamām umr
vo zaḳhm is badan meñ kahīñ tah-nashīñ rahā
ik shaḳhs par tamām the saare muāmlāt
afsos ki sabhī rahe ik vo nahīñ rahā
behāl ho ga.e the ham us se bichhaḌne par
lekin vo shaḳhs vaise kā vaisā hasīñ rahā
teri har ek baat pe dil ko yaqin raha
tu aage baDh gaya main wahin ka wahin raha
dil aisa chur-chur hua tere baad phir
na to makan raha na hi koi makin raha
wo ek zaKHm jis ko bhara hai tamam umr
wo zaKHm is badan mein kahin tah-nashin raha
ek shaKHs par tamam the sare muamlat
afsos ki sabhi rahe ek wo nahin raha
behaal ho gae the hum us se bichhaDne par
lekin wo shaKHs waise ka waisa hasin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.