Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri KHatir ye fusun humne jaga rakkha hai

Farigh Bukhari

teri KHatir ye fusun humne jaga rakkha hai

Farigh Bukhari

MORE BYFarigh Bukhari

    terī ḳhātir ye fusūñ ham ne jagā rakkhā hai

    varna ārā.ish-e-afkār meñ kyā rakkhā hai

    hai tirā aks ā.īna-e-dil zīnat

    ek tasvīr se album ko sajā rakkhā hai

    barg-e-sad-chāk parda hai shagufta gul se

    qahqahoñ se ka.ī zaḳhmoñ ko chhupā rakkhā hai

    ab na bhaTkeñge musāfir na.ī nasloñ ke kabhī

    ham ne rāhoñ meñ lahū apnā jalā rakkhā hai

    ham se insāñ ḳhajālat nahīñ dekhī jaatī

    kam-savādoñ bharam ham ne ravā rakkhā hai

    kis qayāmat hai dīdār tirā va.ada-shikan

    dil-e-betāb ne ik hashr uThā rakkhā hai

    koī mushkil nahīñ pahchān hamārī 'fāriġh'

    apnī ḳhushbū safar ham ne judā rakkhā hai

    teri KHatir ye fusun hum ne jaga rakkha hai

    warna aaraish-e-afkar mein kya rakkha hai

    hai tera aks hi aaina-e-dil ki zinat

    ek taswir se album ko saja rakkha hai

    barg-e-sad-chaak ka parda hai shagufta gul se

    qahqahon se kai zaKHmon ko chhupa rakkha hai

    ab na bhaTkenge musafir nai naslon ke kabhi

    hum ne rahon mein lahu apna jala rakkha hai

    hum se insan ki KHajalat nahin dekhi jati

    kam-sawadon ka bharam hum ne rawa rakkha hai

    kis qayamat ka hai didar tera wada-shikan

    dil-e-betab ne ek hashr uTha rakkha hai

    koi mushkil nahin pahchan hamari 'farigh'

    apni KHushbu ka safar hum ne juda rakkha hai

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 149)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now