teri mahfil mein sitare koi jugnu laya
terī mahfil meñ sitāre koī jugnū laayā
maiñ vo pāgal ki faqat aañkh meñ aañsū laayā
matl.a-e-jāñ pe kiran aisī numūdār huī
jaise koī tirī āvāz kī ḳhushbū laayā
mujh ko ik umr huī ḳhaak meñ tahlīl hue
tū kahāñ se mirī āñkheñ mire baazū laayā
in meñ koī nahīñ lagtā hai shanāsā chehra
'rām' kis ā.īna-ḳhāna meñ mujhe tū laayā
teri mahfil mein sitare koi jugnu laya
main wo pagal ki faqat aankh mein aansu laya
matla-e-jaan pe kiran aisi numudar hui
jaise koi teri aawaz ki KHushbu laya
mujh ko ek umr hui KHak mein tahlil hue
tu kahan se meri aankhen mere bazu laya
in mein koi nahin lagta hai shanasa chehra
'ram' kis aaina-KHana mein mujhe tu laya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.