teri mahfil meri shirkat nahin dekhi jati
terī mahfil mirī shirkat nahīñ dekhī jaatī
ka.ī āñkhoñ se ye saa.at nahīñ dekhī jaatī
tere hāthoñ kī mashaqqat pe taras aatā hai
terī zulfoñ kī sharārat nahīñ dekhī jaatī
Dar rahā huuñ ki takabbur na kahīñ dil meñ pale
dekhne vāloñ kī hairat nahīñ dekhī jaatī
apne haq meñ kisī dushman kī tarah sochtā huuñ
ya.anī mujh se mirī shohrat nahīñ dekhī jaatī
dil to qaa.il nahīñ tajdīd-e-mohabbat kā magar
tere chehre kī nadāmat nahīñ dekhī jaatī
teri mahfil meri shirkat nahin dekhi jati
kai aankhon se ye saat nahin dekhi jati
tere hathon ki mashaqqat pe taras aata hai
teri zulfon ki shararat nahin dekhi jati
Dar raha hun ki takabbur na kahin dil mein pale
dekhne walon ki hairat nahin dekhi jati
apne haq mein kisi dushman ki tarah sochta hun
yani mujh se meri shohrat nahin dekhi jati
dil to qail nahin tajdid-e-mohabbat ka magar
tere chehre ki nadamat nahin dekhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.