teri marzi na de sabaat mujhe
terī marzī na de sabāt mujhe
be-yaqīnī se de najāt mujhe
in kī nazreñ uThīñ mirī jānib
yaad hai pahlī vārdāt mujhe
har balā se rahegā tū mahfūz
is safar meñ jo rakh le saath mujhe
roz miltā huuñ mai-kade meñ use
ḳhuub pahchāntī hai raat mujhe
meñ tujhe jāntā huuñ harjā.ī
kyuuñ batātā hai apnī zaat mujhe
mujh ko detī hai Daal Daal huā
chhāñv dete haiñ paat paat mujhe
teri marzi na de sabaat mujhe
be-yaqini se de najat mujhe
in ki nazren uThin meri jaanib
yaad hai pahli wardat mujhe
har bala se rahega tu mahfuz
is safar mein jo rakh le sath mujhe
roz milta hun mai-kade mein use
KHub pahchanti hai raat mujhe
mein tujhe jaanta hun harjai
kyun batata hai apni zat mujhe
mujh ko deti hai Dal Dal hua
chhanw dete hain pat pat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.