teri mohabbat ka jo ek hum ko sahaara mil gaya
terī mohabbat kā jo ik ham ko sahārā mil gayā
kashtī ko tūfāñ meñ koī jaise kinārā mil gayā
gul ho rahe haiñ be-ridā shāḳh-o-shajar bhī sabz haiñ
gulshan ko us ke aane kā koī ishāra mil gayā
kaTte nahīñ kaTtī haiñ rāteñ din bhī Duubā Duubā sā
kyā roz-o-shab ye ishq kā ham ko ḳhasāra mil gayā
pāzeb meñ kaisī khanak utrā hai kānoñ meñ shahad
kis kī ye mausīqī hai jis meñ sur hamārā mil gayā
ab saath hai koī nahīñ apnā bhī ban ke ham-safar
añdhere tanhā chāñd ko bhī jab sitārā mil gayā
rāteñ darīchoñ pe basar dahlīz pe guzre sahar
paiġhām us kī samt se koī dobāra mil gayā
tere bhī dil meñ dekhe haiñ ham ne vahī dard aur ġham
bas ik nazar se terī terā haal saarā mil gayā
teri mohabbat ka jo ek hum ko sahaara mil gaya
kashti ko tufan mein koi jaise kinara mil gaya
gul ho rahe hain be-rida shaKH-o-shajar bhi sabz hain
gulshan ko us ke aane ka koi ishaara mil gaya
kaTte nahin kaTti hain raaten din bhi Duba Duba sa
kya roz-o-shab ye ishq ka hum ko KHasara mil gaya
pazeb mein kaisi khanak utra hai kanon mein shahad
kis ki ye mausiqi hai jis mein sur hamara mil gaya
ab sath hai koi nahin apna bhi ban ke ham-safar
andhere tanha chand ko bhi jab sitara mil gaya
raaten darichon pe basar dahliz pe guzre sahar
paigham us ki samt se koi dobara mil gaya
tere bhi dil mein dekhe hain hum ne wahi dard aur gham
bas ek nazar se teri tera haal sara mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.