teri nazron mein to abru mein kaman DhunDta hun
tiir nazroñ meñ to abrū meñ kamāñ DhūñDtā huuñ
us kī āñkhoñ meñ ga.ī rut ke nishāñ DhūñDtā huuñ
nashsha-e-qurb se baḌh kar hai tirī khoj mujhe
tū jahāñ mil na sake tujh ko vahāñ DhūñDtā huuñ
taaza vārid huuñ miyāñ aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamāne ko yahāñ kār-e-ziyāñ DhūñDtā huuñ
shak kī be-samt masāfat hī mujhe maar na de
jo yaqīñ mujh ko dilā de vo gumāñ DhūñDtā huuñ
apne andar mujhe karbal kā samāñ lagtā hai
sar-bulandī ke liye nok-e-sināñ DhūñDtā huuñ
asr-e-hāzir bhī lage harf-e-mukarrar 'jāzib'
apne hone ke liye taaza jahāñ DhūñDtā huuñ
tir nazron mein to abru mein kaman DhunDta hun
us ki aankhon mein gai rut ke nishan DhunDta hun
nashsha-e-qurb se baDh kar hai teri khoj mujhe
tu jahan mil na sake tujh ko wahan DhunDta hun
taza warid hun miyan aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamane ko yahan kar-e-ziyan DhunDta hun
shak ki be-samt masafat hi mujhe mar na de
jo yaqin mujh ko dila de wo guman DhunDta hun
apne andar mujhe karbal ka saman lagta hai
sar-bulandi ke liye nok-e-sinan DhunDta hun
asr-e-hazir bhi lage harf-e-mukarrar 'jazib'
apne hone ke liye taza jahan DhunDta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.