teri nigah-e-naz baDi kargar gai
terī nigāh-e-nāz baḌī kārgar ga.ī
mere mazāq-e-dīd ko be-kār kar ga.ī
hogā zarūr pās-e-vafā un ko ek din
bas is ḳhayāl meñ hī javānī guzar ga.ī
apne shikasta-hāl kā mumkin na thā ilaaj
tum ne nazar milā.ī to duniyā sañvar ga.ī
yuuñ kaT ga.ī ḳhayāl meñ un ke shab-e-firāq
ye bhī ḳhabar baneñ kidhar aa.ī kidhar ga.ī
dekhe to koī jazb-e-mohabbat kā ye asar
hir-phir ke mere dil pe hī un kī nazar ga.ī
māmūr hai nigāh meñ ab saarī kā.enāt
tanvīr kis ke husn kī har sū nikhar ga.ī
do-gām bhī chale nahīñ tum rāh-e-ishq meñ
saḳhtī-e-rāh tum ko to bezār kar ga.ī
'anjum' kisī kī chashm-e-karam kā ye faiz hai
tūfān meñ bhī ghir ke jo kashtī ubhar ga.ī
teri nigah-e-naz baDi kargar gai
mere mazaq-e-did ko be-kar kar gai
hoga zarur pas-e-wafa un ko ek din
bas is KHayal mein hi jawani guzar gai
apne shikasta-haal ka mumkin na tha ilaj
tum ne nazar milai to duniya sanwar gai
yun kaT gai KHayal mein un ke shab-e-firaq
ye bhi KHabar banen kidhar aai kidhar gai
dekhe to koi jazb-e-mohabbat ka ye asar
hir-phir ke mere dil pe hi un ki nazar gai
mamur hai nigah mein ab sari kaenat
tanwir kis ke husn ki har su nikhar gai
do-gam bhi chale nahin tum rah-e-ishq mein
saKHti-e-rah tum ko to bezar kar gai
'anjum' kisi ki chashm-e-karam ka ye faiz hai
tufan mein bhi ghir ke jo kashti ubhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.