teri parchhaiyan hi sath rahin
terī parchhā.iyāñ hī saath rahīñ
merī tanhā.iyāñ hī saath rahīñ
kho ga.e yaar jānib-e-manzil
ābla-pā.iyāñ hī saath rahīñ
na rahe vo nuqūsh chehre ke
na vo rā'nā.iyāñ hī saath rahīñ
baḌh ga.e log shādmāñ aur Dhol
sirf shahnā.iyāñ hī saath rahīñ
nīlgūñ be-karāñ samundar meñ
aur gahrā.iyāñ hī saath rahīñ
hausla shal kabhī huā na mirā
go ki paspā.iyāñ hī saath rahīñ
naam to ek jā hue apne
chāhe rusvā.iyāñ hī saath rahīñ
teri parchhaiyan hi sath rahin
meri tanhaiyan hi sath rahin
kho gae yar jaanib-e-manzil
aabla-paiyan hi sath rahin
na rahe wo nuqush chehre ke
na wo ra'naiyan hi sath rahin
baDh gae log shadman aur Dhol
sirf shahnaiyan hi sath rahin
nilgun be-karan samundar mein
aur gahraiyan hi sath rahin
hausla shal kabhi hua na mera
go ki paspaiyan hi sath rahin
nam to ek ja hue apne
chahe ruswaiyan hi sath rahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.