teri qurbat ke aarzi lamhe
terī qurbat ke aarzī lamhe
mujh ko kaafī haiñ sarsarī lamhe
tū bhī ho aur terī ḳhushbū bhī
lams ke jāvedāñ ġhanī lamhe
pair phislā mirā maiñ Duub gayā
terī āñkhoñ meñ dāḳhlī lamhe
us ko aa.ī hayā to kab aa.ī
merī jindḌī ke āḳhirī lamhe
lamha lamha tujhe satā.eñge
aise zālim haiñ aadmī lamhe
yaar se bach bhī jaa.e to 'ahmad'
tujh ko khā.eñge sāzishī lamhe
teri qurbat ke aarzi lamhe
mujh ko kafi hain sarsari lamhe
tu bhi ho aur teri KHushbu bhi
lams ke jawedan ghani lamhe
pair phisla mera main Dub gaya
teri aankhon mein daKHli lamhe
us ko aai haya to kab aai
meri jindDi ke aaKHiri lamhe
lamha lamha tujhe sataenge
aise zalim hain aadmi lamhe
yar se bach bhi jae to 'ahmad'
tujh ko khaenge sazishi lamhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.