teri surat na jab dikhai de
terī sūrat na jab dikhā.ī de
koī rasta nahīñ sujhā.ī de
aap tark-e-ta.alluqāt kare
aap ilzām-e-bevafā.ī de
qurb jis kā hai zindagī merī
vo mujhe ranj-e-nārsā.ī de
maiñ samā.at pe bhī yaqīñ kar luuñ
terī āvāz to sunā.ī de
hijr sī lag rahī hai qurbat bhī
kaun ġham se mujhe rihā.ī de
jāntā hī nahīñ jo nām-e-vafā
mujh ko ilzām-e-bevafā.ī de
kahāñ ḳhud ko chhupā.eñ ai 'bismil'
vo jo ummīd-e-rū-numā.ī de
teri surat na jab dikhai de
koi rasta nahin sujhai de
aap tark-e-talluqat kare
aap ilzam-e-bewafai de
qurb jis ka hai zindagi meri
wo mujhe ranj-e-narsai de
main samaat pe bhi yaqin kar lun
teri aawaz to sunai de
hijr si lag rahi hai qurbat bhi
kaun gham se mujhe rihai de
jaanta hi nahin jo nam-e-wafa
mujh ko ilzam-e-bewafai de
kahan KHud ko chhupaen ai 'bismil'
wo jo ummid-e-ru-numai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.