teri surat se aashna hun main
terī sūrat se āshnā huuñ maiñ
yuuñ hī pāgal nahīñ huā huuñ maiñ
dam-ba-dam mujh ko āzmāte ho
ek duniyā meñ kyā bachā huuñ maiñ
ajnabī hai vo ḳhūb-rū lekin
lag rahā hai ki jāntā huuñ maiñ
naag Dastā to mar na jaatā maiñ
haa.e is zulf kā Dasā huuñ maiñ
terī duniyā meñ kyoñ rahūñ ab jab
terī mahfil se uTh chukā huuñ maiñ
chhāchh ḳhushiyoñ kī pī nahīñ saktā
ishq ke duudh kā jalā huuñ maiñ
merī fariyād sun nahīñ sakte
aur da.avā hai ki ḳhudā huuñ maiñ
terī dahlīz par qadam roke
jaane kis soch meñ khaḌā huuñ maiñ
dil se nazdīk yaar se 'shāhid'
duur ho kar bhī kab judā huuñ maiñ
teri surat se aashna hun main
yun hi pagal nahin hua hun main
dam-ba-dam mujh ko aazmate ho
ek duniya mein kya bacha hun main
ajnabi hai wo KHub-ru lekin
lag raha hai ki jaanta hun main
nag Dasta to mar na jata main
hae is zulf ka Dasa hun main
teri duniya mein kyon rahun ab jab
teri mahfil se uTh chuka hun main
chhachh KHushiyon ki pi nahin sakta
ishq ke dudh ka jala hun main
meri fariyaad sun nahin sakte
aur dawa hai ki KHuda hun main
teri dahliz par qadam roke
jaane kis soch mein khaDa hun main
dil se nazdik yar se 'shahid'
dur ho kar bhi kab juda hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.