teri taswir ka jab dam lagaya jae
terī tasvīr kā jab daam lagāyā jaa.e
naam us par se musavvir kā haTāyā jaa.e
ai ḳhudā Thiik banī hai tirī duniyā phir bhī
martaba is meñ mohabbat kā baḌhāyā jaa.e
ai ghaḌī-sāz lagā de tū ghaḌī meñ gullak
jis meñ ḳhud ke liye kuchh vaqt bachāyā jaa.e
aap be-shak na.e sikkoñ ko chalā.eñ lekin
kyā zarūrī hai purānoñ ko galāyā jaa.e
rāstā kaaT ga.ī hai mirā kaalī billī
is bahāne chalo ghar lauT ke aayā jaa.e
be-qarārī kisī kī baḌh chukī hogī ab tak
sātvīñ ghanTī hai ab phone uThāyā jaa.e
teri taswir ka jab dam lagaya jae
nam us par se musawwir ka haTaya jae
ai KHuda Thik bani hai teri duniya phir bhi
martaba is mein mohabbat ka baDhaya jae
ai ghaDi-saz laga de tu ghaDi mein gullak
jis mein KHud ke liye kuchh waqt bachaya jae
aap be-shak nae sikkon ko chalaen lekin
kya zaruri hai puranon ko galaya jae
rasta kaT gai hai mera kali billi
is bahane chalo ghar lauT ke aaya jae
be-qarari kisi ki baDh chuki hogi ab tak
satwin ghanTi hai ab phone uThaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.