teri ummid ke asbab nazar aate nahin
terī ummīd ke asbāb nazar aate nahīñ
kyoñ mujhe koī hasīñ ḳhvāb nazar aate nahīñ
itnā bhaTkā huuñ aziyyat ke bayābāñ meñ ki ab
koī bhī lamha-e-nāyāb nazar aate nahīñ
kis qadar dhuñdle haiñ mazlūm kī aahoñ se falak
mehr-o-anjum huuñ ki mahtāb nazar aate nahīñ
dast-bardār nahīñ rasm-e-ta.alluq se maiñ
phir bhalā kyoñ mujhe ahbāb nazar aate nahīñ
itnī duurī hai ab un se ki mujhe ai 'shauqī'
chain se haiñ ki vo betāb nazar aate nahīñ
teri ummid ke asbab nazar aate nahin
kyon mujhe koi hasin KHwab nazar aate nahin
itna bhaTka hun aziyyat ke bayaban mein ki ab
koi bhi lamha-e-nayab nazar aate nahin
kis qadar dhundle hain mazlum ki aahon se falak
mehr-o-anjum hun ki mahtab nazar aate nahin
dast-bardar nahin rasm-e-talluq se main
phir bhala kyon mujhe ahbab nazar aate nahin
itni duri hai ab un se ki mujhe ai 'shauqi'
chain se hain ki wo betab nazar aate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.