teri yaad mein aise nauhe kahne hain
terī yaad meñ aise nauhe kahne haiñ
sun ke har ik shaḳhs ke aañsū bahne haiñ
ai sūraj tū jitnā chāhe chamke jā
dil ne to bas chāñd ke naḳhre sahne haiñ
tū to niklā Dher hī puurā kuuḌe kā
maiñ ne to bas maile kapḌe pahne haiñ
kaise tū fir.aun ko dariyā le aaya
vaah re 'mūsā' tere bhī kyā kahne haiñ
teri yaad mein aise nauhe kahne hain
sun ke har ek shaKHs ke aansu bahne hain
ai suraj tu jitna chahe chamke ja
dil ne to bas chand ke naKHre sahne hain
tu to nikla Dher hi pura kuDe ka
main ne to bas maile kapDe pahne hain
kaise tu firaun ko dariya le aaya
wah re 'musa' tere bhi kya kahne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.