teri yaad mein rote rote tujh jaisa ho jaega
terī yaad meñ rote rote tujh jaisā ho jā.egā
ho saktā hai apnā dil bhī kal patthar kahlā.egā
aur nahīñ to tark-e-vafā par ye bhī to ho saktā hai
kuchh ham bhī sharminda hoñge kuchh vo bhī pachhtā.egā
tujh ko bhulā kar jī sakte haiñ lekin itnā yaad rahe
tujh sā jo bhī mukhḌā hogā āñkhoñ meñ bas jā.egā
pyaar se nafrat karne vaalo pyaar ko tum ne kyā jaanā
ye bhī hamesha kā ziddī hai tum ko bhī ho jā.egā
terā merā saath rahegā kāñTe log bichhā.eñge
lekin apnī rāhguzar par mausam phuul khilā.egā
sab kā dard sameT ke vo tāsīr hai mere lafzoñ meñ
jo bhī mere sher paḌegā vo merā ho jā.egā
teri yaad mein rote rote tujh jaisa ho jaega
ho sakta hai apna dil bhi kal patthar kahlaega
aur nahin to tark-e-wafa par ye bhi to ho sakta hai
kuchh hum bhi sharminda honge kuchh wo bhi pachhtaega
tujh ko bhula kar ji sakte hain lekin itna yaad rahe
tujh sa jo bhi mukhDa hoga aankhon mein bas jaega
pyar se nafrat karne walo pyar ko tum ne kya jaana
ye bhi hamesha ka ziddi hai tum ko bhi ho jaega
tera mera sath rahega kanTe log bichhaenge
lekin apni rahguzar par mausam phul khilaega
sab ka dard sameT ke wo tasir hai mere lafzon mein
jo bhi mere sher paDega wo mera ho jaega
- Book : Hukm Nama (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.