teri yaadon ke ke hasin pal ke siwa kuchh bhi nahin
terī yādoñ ke ke hasīñ pal ke sivā kuchh bhī nahīñ
mere kashkol meñ is kal ke sivā kuchh bhī nahīñ
maiñ hī pāgal thā vafā DhūñD rahā thā in meñ
terī āñkhoñ meñ to kājal ke sivā kuchh bhī nahīñ
kitne hī ḳhvāb-e-masarrat kā nagar thiiñ pahle
ab to āñkheñ mirī bādal ke sivā kuchh bhī nahīñ
ban ke suqrāt jiyo tajraba apnā hai yahī
zindagī zahr-e-halāhal ke sivā kuchh bhī nahīñ
baḌhtī jaatī haiñ mirī vahshateñ har din 'merāj'
aisā lagtā hai maiñ pāgal ke sivā kuchh bhī nahīñ
teri yaadon ke ke hasin pal ke siwa kuchh bhi nahin
mere kashkol mein is kal ke siwa kuchh bhi nahin
main hi pagal tha wafa DhunD raha tha in mein
teri aankhon mein to kajal ke siwa kuchh bhi nahin
kitne hi KHwab-e-masarrat ka nagar thin pahle
ab to aankhen meri baadal ke siwa kuchh bhi nahin
ban ke suqraat jiyo tajraba apna hai yahi
zindagi zahr-e-halahal ke siwa kuchh bhi nahin
baDhti jati hain meri wahshaten har din 'meraj'
aisa lagta hai main pagal ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.