teri yaadon ki chalin purwaiyan
terī yādoñ kī chalīñ purvā.iyāñ
dard ne phir dil meñ liiñ añgḌā.iyāñ
ho mubārak tum ko bazm-ārā.iyāñ
raas ham ko aa ga.iiñ tanhā.iyāñ
ab to ḳhvāboñ meñ bhī tum aate nahīñ
mujh ko Dastī haiñ mirī tanhā.iyāñ
ye sila ham ko vafā kar ke milā
har taraf hone lagīñ rusvā.iyāñ
zaḳhm dil ke phir hare hone lage
yuuñ huiiñ dil meñ chaman-ārā.iyāñ
ġham hī ġham mujh par musallat ho ga.e
jab tire āñgan bajīñ shahnā.iyāñ
un ke va.ade par bharosa kar ke maiñ
sah rahā huuñ hijr kī tanhā.iyāñ
mujh ko mere haal par ab chhoḌ de
dekh liiñ terī karam-farmā.iyāñ
kyoñ kisī ko be-sabab ilzām duuñ
thiiñ muqaddar meñ mire rusvā.iyāñ
āsmāñ se TuuT kar taare gire
liiñ mashiyyat ne ajab añgḌā.iyāñ
jab taḳhayyul meñ mire aate haiñ vo
muskurātī haiñ mirī tanhā.iyāñ
ham ne samjhāyā bahut lekin 'sirāj'
tū na samjhā pyaar kī gahrā.iyāñ
teri yaadon ki chalin purwaiyan
dard ne phir dil mein lin angDaiyan
ho mubarak tum ko bazm-araiyan
ras hum ko aa gain tanhaiyan
ab to KHwabon mein bhi tum aate nahin
mujh ko Dasti hain meri tanhaiyan
ye sila hum ko wafa kar ke mila
har taraf hone lagin ruswaiyan
zaKHm dil ke phir hare hone lage
yun huin dil mein chaman-araiyan
gham hi gham mujh par musallat ho gae
jab tere aangan bajin shahnaiyan
un ke wade par bharosa kar ke main
sah raha hun hijr ki tanhaiyan
mujh ko mere haal par ab chhoD de
dekh lin teri karam-farmaiyan
kyon kisi ko be-sabab ilzam dun
thin muqaddar mein mere ruswaiyan
aasman se TuT kar tare gire
lin mashiyyat ne ajab angDaiyan
jab taKHayyul mein mere aate hain wo
muskuraati hain meri tanhaiyan
hum ne samjhaya bahut lekin 'siraj'
tu na samjha pyar ki gahraiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.